Thursday, June 23, 2011

faisla

akhirkaar kai mahino ke dwand ke baad maine apne faisle par amal kar hi diya . jiski ashtha pe kabhi sawal nahi uthaya , uski astitva pe hi maine sawal kiya aur jawab apne aap se pucha ki mujhe akhir kya chahiye ?

jiske aage sar hamesha jhuke , jiski upasana hamesha ki .. akhir usi bhagwan , devi ma ko akhiri baar pranaam kiya aur kah dala .. itishiri . bahut hua agar tum mere bhagyavidhata they to akhein band kyon thi tumhari aur agar karam hi sab kuch hai to main tumhe kyon manu ? kyon tumhare bhagyavidhata banne ki zid ke aage main pis jaaon .
nahi ..kabhi nahi .. agar karam hi tha jis se sab kuch mil jata hai is dunia mein jaisa tumne khud geeta mein kaha hai aur karam pe hi main vishwas karta aaya to akhir kaha aur kaise tum sabke karamo ko dekhte ho ? ya to tum andhe ho ya tumne dunia se hi akhein mod li hai . aur dono hi baato par ..mujhe ab tumhari satta swikaar nahi.

ab main apna karamdaata ,karamkarta bhagyavidhata hu . ab kuch bhi ho jaye .. tumhari satta swikaar karna to door .. tumahre bane mandiro ki taraf mujhe dekhna bhi gawara nahi